
Main janta hu k dunya tuj badal day gy,
main manta hun k aisa nahi bazahir tu

Mery halat hy k ehsas tarab hy koi,
tery besakhta hansnay ka sabab hy koi

Mery qismat ki lakeren mery hathon main na then,
tery mathay par koi mera muqadar dekhta

Kitny hasrat say usay dekhen gi pyary ankhen,
aur wo waqt ki manind guzr jaye ga

Khud apnay ap ko parkha to ye nadamat hy,
k ab kabhi usay ilzam bewafai na du

Karun na yad magar kis tarha bhula dun usay,
ghazal bahana karun aur gungunaun usay

Kahen ajaye muyaser to muqadar tera,
warna asoodgy dehr ko nayab samaj

Judayan hon to aisy k umar bhar na milen,
fareb do to zara silsalay barha ky muj