Ahmed Faraz Love Poetry

Muj say kya poochtay ho shehr wafa kesa hy,
aisy lagt hy saleebon sar utar kar aya

Muj say bichar kay tu bhi to roye ga umar bhar,
ye soch lay k main bhi tery khwahishon main hu

Milen jab un say to mubhim sy guftagoo karna,
phir apnay ap say so so wazahten karna

Milay koi bhi tera zikar cher dety hain,
k jesay sara jahan razdar apna hy

Koi batlao k ik umar ka bichra mehboob,
itafaqan kahen mil jaye to kya kehtay hain

Konsa nam tuj du mery zalim mehboob,
tu he qatil hy mera tu he maseeha mera

Kuch to mery pindar e mohabat ka bharm rakh,
tu bhi to kabhi muj ko manany kay liye a

Kya aisay kam sukhan say koi guftagoo kary,
jo mustaqil sakoot say dil ko lahoo kary