Ahmed Faraz Love Poetry
Ahmed Faraz Love Poetry
Pyar- hawa na do k ye jangal ky aag hy yaro,
ajab nahy hy agr phel jaye shehron main
Qurb juz daghe judai nahi deta kuch bhi,
tu nahi hy to dikhai nahi deta kuch bhi
Rah e wafa main koi akhry maqam nahi,
shikast dil ko mohabat ki intaha na samaj
Ranjish he sahi dil he dukhany k liye a,
a phir say muj chor kay jany k liye a
Rukna ho agr to so bahany,
jana ho to rastay baray hain
Shehr main husn sada ko kanton main tola gya,
bik gaye koryon k mol jo gaon k phool thy
Pehlay pehl ka ishq abhi yad hy faraz,
dil khud ye chahta tha k ruswayan bhi hon
Pehlay bhi log aye kitnay hi zindgy main,
wo har trha say lakin auron say tha juda sa
Nahi hy tab to phir ashqi ki rah na chal,
ye kar zar e janoon hy jigar nikal kay rakh