
Wo jis ghamand say bichra gila usy ka hy,
ka sary bat mohabat main rakh rakhao ky thy

Wo door ho to baja tark e dosty ka khyal,
wo samnay ho to kab ikhtyar apna hy

Wafa k bab main ilzam e ashqi na liya,
k tery bat bhi ki tera nam bhi na liya

Usay faraz agar dukh na tha bicharny ka,
to kyun wo door talak dekhta raha muj ko

Us ki wo janay usay pas e wafa tha k na tha,
tum faraz apni taraf say to nibhatay jaty

Tu samanadar hy to phir apni sakhawat bhi dikha,
kya zaroori hy kay main pyas ka daman kholoon

Pehlay say marasim na sahi phir bhi kabhi to,
rasm o rah e dunia he nibhanay k liye a

Silsalay tor gya wo sabhi jatay,
warna itnay to marasim thy k atay jatay