
Apnay apny bewafaon nay hamen yakja kiya,
warna tu mera nahi tha aur tu mera na tha

Aqal naseh k har dam laghzish ka khyal,
dil wo deewana yahi chahy k nadany kary

Zindgy tery ata hy to ye janay wala,
tery bakhshish tery dehleez p dhar jaye ga

Abhi abhi wo mila tha hazar baten ken,
abhi abhi wo gya hy magar zamana huwa

Ab usy log samjaty hain girftar mera,
sakht nadim hy muj dam main lanay wala

Ab kay wo dard day k main rooun tmam umar,
ab kay laga wo zakhm k jeena mahal ho

Ab kay ham bichray to shayad kabhi khwabon main milen,
jis trah sookhay huwy phool kitabon main milen

Ab kay bichray to na pehchan saken gay chehray,
mery chahat tery pindar ko mar jana hy