Ahmed Faraz Love Poetry
Bazahir aik he shab hy faraq e yar magar,
koi guzarnay bethy to umar sary lagy
Badla na mery bad bhi mozoo guftagoo,
main ja chuka hu phir bhi tery mehfilon main hu
Aye rag e jan kay maken to bhi zra ghor say sun,
dil ki dharkan tery qadmon ki sada lagty hy
Aik dunya muntazir hy aur tery bazm main,
is trha bethy hain jesy kahi jana nahi
Aj kya dekh kay bhar aye hain ankhen tery ankhen,
ham pay aye dost ye saat to hamesha guzry
Ankh main ansoo juray thay par sada tuj ko na dy,
is tawaqa par k shayed tu palat kar dekhta
Ankhon ki tasaly nahi hoty to na howy,
ham khush hain koi shakal to deedar ki nikly
Apna ye hal k g har chukay lut bhi chukay, aur mohabat wahi andaz purany mangy