Habib Jalib Sad poetry
Habib Jalib Sad poetry: a hand picked collection of Habib Jalib’s selected poetry.
Agar daman nahi hy unka muyaser,
kisy dewar say he lag kar rolen
Dushmanon nay jo dushmany ki hy,
doston nay bhi kya kami ky hy
Ham ko gheron say dar nahi lagta,
apnay ahbab he say dartay hain
Hota agar pahar to lata na tab e gham,
jo ranj is nagar main ye dil hans k seh gya
Hamary qatal pay jo aj hain khamosh kal jalib,
bohat ansoo bahayen gay bohat dad e wafa den gay
Is shehr khraby main gham e ishq k maray,
zinda hain yahi bat bary bat hy pyary
In bastyon main rasm wafa khatm ho chuky
, aye chashm nam kisy say na kar arz gham yahan
Kuch aur bhi hain kam hamen aye gham janan,
kab tak koi uljhi huwy zulfon ko sanwary